Friday, November 13, 2009

Diary ke Panooo se

DAY - 7 ( My Birthday)

Ye baat dhayan rakhne waali hai ki Saana Samarth ke bich pyar shaadi ke 3 saal baad hua...vo kin haalato.n me hua ye sab aap logo ke aage hai...shayad Saana ab bilkul akeli, tanha aur zindagi ki thokro aur kismat ki maar khaate khaate ab bahut kamzor ho chuki thi...ha.n ye sach hai ki aaj Saana ko bhi ek jabardast Mansik sahare ki jaroorat thi...ye baat alag thi ki vo pyar to chahti thi..vo kandho ka sahara to chahti thi...vo aisa daman to chahti thi jo use chhupa sake...vo ye to chahti thi ki uske jakhmo ki bhi ab koi dava kare...vo ye bhi chahti thi ki...ab usko koi aisa insaan mile jo apne pyar bhare hatho k sparsh se uske aansuo ko poonch de..lekin ye bhi sach hai ki vo aisa aadmi nahi chahti thi jo fir se ussae physical love ki baat kare...

anyways..Samarth kabhi uska fayda nahi uthaya...ye baat alag thi ki dheere dheere Saana us-se pyar karne lagi...aur tahe dil se usko chahne lagi....kai baar Saana aur Samarth milte...baate karte...milan hota...Saana us-se her baar milne per aisa hi lagta jaise uski pyasi aatma ko...jalti rait per do boond paani ki mil gai ho....Saana khush rehne lagi....lekin fir bhi ek taraf se man use kachotTa ki Saana to samaj se hatkar hai...ye galat kadam hai...ye tera tere pati k liye dokha hai...teri zimmevariyo se hatkar galat baat hai...tujhe aisa nahi karna chahiye...kai baar Saana in vicharo me doob kar khud hi ki nigaho me girne lagti....kai baar ye feelings Samarth saath bhi share karti...lekin Samarth bhi kehta...ki pyar koi soch samajh kar nahi ho paata...hamara dil jis baat me khush rehna chahta hai...ham na chah kar bhi vahi kaam karte hai...ab tum aur main dono hi dil k haatho mazboor hai...to kya kare...

Mujhe nahi lagta ki pyar bina kisi karan se bhi ho jata ho...aisi to main koi hero bhi nahi hu....tum se personality main bhi Kam nazar aata hu...fir kya vajeh hai...Saana Muskuraa Deti..aur kehti ye sab sach hai...lekin bas tum mujhe acchhe lagte ho...tumara man bahut saaf hai...ye baat mujhe acchhi lagti hai..aur tum sunder to ho hi...isme koi do rai nahi...

Samarth ko uski baate samajh na aati...aur vo chup ho jaata...bina satisfied reply paye..

Saana aur Samarth ki hamesha ek baat ko leker bahut larai ho jati kabhi kabhi...Saana ki aadat thi ki vo sabse office me has-has kar baat karti thi..aur sabse majak kar leti thi...is vajeh se kai log Saana ko galat kehne se bhi baaz na aate...aur peeche se shayad uska mazak bhi urate...Samarth aadmi tha...use pata tha ki office k logo ki mentality kaisi hai aur vo kaise gande majak banate hai...is liye vo hamesha Saana se yahi shikayat karta ki tum logo se has-has kar baat kyu karti ho...kyu unse faaltu bolti rehti ho...larki ho...aur ek larki ban kar raha karo...vo Saana ko kisi k saath baat bhi karte dekh leta to gusse me aa jaata...shayad Samarth Saana k case me bahut hi posessive ho gaya tha..aur Saana thi ki uske dil ki halat samajhti nahi thi..uski daat kha kar rone baith jaati aur kehti ki tum to chahte ho ki main office me goongi hoker baithi raho...kisi se baat na karu...sirf tumse baat karu...jab tum meeting chale jaate ho 3-4 ghante baad aate ho to kya main diwaro se sir maarti rahu...ek to ghar me bhi chup raho...aur yaha aaker tumara aadesh ki kisi se baat mat karo...is tareh her 2-4 din baad dono ki larai ho jati..Saana roti...fir khud hi shant ho jati...

Saana hamesha apnae ghar ki baaten samarth se share kerti. wo hamesha bolti ki mujhe koi ghar main samajhta hi nahi, Uskae pati ussae payar nahi kerte jitna samarth kerta hai aur wo us sae kerti hai. Samarth agar kuch samjhanae ki kosis kerta phir Saana usae samajhnae lagti bolti aap mujhe kabhi samajh nahi paaogee....phir saamarth ke paas koi option nahi rahtaa....

In Dino Samarth kuch paresaan chal raha hai... Iskaa kaaran Saayad samarth ko bhi nahi maalum par wo kabhi kabhi jab batein kerta hai to uski frustration baaton se dikhti hai... saayad wo apne ghar ki koi jameen jaayadaad kaa tention hai usae...aur kabhi kabhi wo kuch court kachhari ki bhi baatein kerta hai... Samarth aajkal bahut paresaan lag raha hai...

Ek din Samarth kuch paresaani mai tha achanak Saana us ke paas aai aur boli, aap mujhse ghanto baate nahi kerte ho aur mai bore hote rahti hoon... Aapko koi chintaa hi nahi hoti. Samarth usae samjhane ki kosis kerta to Saana bolti ki mere liye aapke paas time nahi hai jab mai nahi rahti to dusre ladkiyon kae saath baaten kerta aapko atcha lagta hai....


Saayad Saana ko Shakkk ho raha tha ki Samarth kisi dusree kae chakaar mai to nahi hai....Kabhi kabhi wo direct bhi puch leti....Us time Samarth ko ye ehsaas hota ki mai karu bhi to kya kru .. wo kaisae samjhaye Saana ko ki wo usae hamesha galat samajhti hai..

Samarth hamesha Saana ko guide kerta ki jindagi main wo kis tarah se safaltaa ko chu sakaegii...Par Saana is baat ko samajhne ko taiyaar nahi hoti...usae bas Samarth se lagaao tha wo hamesha bolti mujhe jaha jaana hai aapke saath jaaungii... wo saayad hakikaat ko bhulll rahi thi ....

KYA SAMARTH AGLE KUCH MAHINE MAIN Saana KO USKI HAKIKAT SE MILA PAAYEGAA...? KYA Saana SAMARTH KO SAMAJH PAAYEGIII? KYA Saana KO APNE GHAR SE PYARA KOI NAHI LAGEGAA? AGAR AISA HUA TO SAMARTH KAA KYA HOGAA.....? KAHI ISKAE PICHE KOI RAAZ TO NAHI...? Readers jaroor in baato ka jawab de...

waiting for ur replies......

No comments:

Post a Comment